Siyah Raat Ki Har Dilkashi Ko Bhul Gae
siyah raat ki har dilkashi ko bhul gae
diye jala ke hamin raushni ko bhul gae
kisi kali ke tabassum ne bekali di hai
kali hansi to hum apni hansi ko bhul gae
jahan mein aur rah-o-rasm-e-ashiqi kya hai
fareb-KHurda teri be-ruKHi ko bhul gae
yahi hai shewa-e-ahl-e-wafa zamane mein
kisi ko dil se lagaya kisi ko bhul gae
zara si baat pe daman chhuDa liya hum se
tamam umr ki wabastagi ko bhul gae
KHuda-parast KHuda se to lau lagate rahe
KHuda ki shan magar aadmi ko bhul gae
wo jis ke gham ne gham-e-zindagi diya hai 'zafar'
usi ke gham mein gham-e-zindagi ko bhul gae
(978) Peoples Rate This