Kya Pata Kis Jurm Ki Kis Ko Saza Deta Hun Main
kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hun main
rang sa ek bandhta hun phir bhula deta hun main
apne aage ab to main KHud bhi Thahar sakta nahin
samna hote hi chuTki mein uDa deta hun main
moajiza agla to ab shayad purana ho chala
dekhna ab ke koi chakkar naya deta hun main
mujh se aage bhi nikal jaana bahut mushkil nahin
aaj-kal aahista-rau hun rasta deta hun main
shor sa uThta hai aur uThte hi dab jata hai ab
harf sa likhne se pahle hi miTa deta hun main
taki meri sulh-jui ko lage kuchh bhaw bhi
har nae fitne ko dar-parda hawa deta hun main
baat bhi sunta nahin hun wasl mein dil ki 'zafar'
aise KHar-maston ko mahfil se uTha deta hun main
(830) Peoples Rate This