Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega
kisi parinde ki wapsi ka safar meri KHak mein milega
main chup rahunga shajar ki surat shajar meri KHak mein milega
udas aankhen sulagte chehron ki mujh ko aawaz de rahi hain
kabhi jo aabaad rah chuka hai wo ghar meri KHak mein milega
lahu ki barish mein zard phulon ki pattiyon se likha gaya hun
main lafz ka zaiqa zaban par asar meri KHak mein milega
dayar-e-shab ke bhaTakte rahi shikar-e-tashkik-o-kam-nigahi
alaw raushan kahin jo kar de sharar meri KHak mein milega
azal se suraj abad mein talash jis ko karta hua gaya hai
sadaf zamin hai to zindagi ka guhar meri KHak mein milega
wo bastiyan jo tabahiyon mein numu ki taswir ban gai hain
wajud jin ka kahin nahin hai magar meri KHak mein milega
main chashm-e-pur-nam ki mishalon se charagh-e-farda jala raha hun
ki naqsh-e-irfan-o-agahi bhi 'zafar' meri KHak mein milega
(1513) Peoples Rate This