Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin
falak pe chand nahin koi abr-para nahin
ye kaisi raat hai jis mein koi sitara nahin
ye inkishaf sitaron se bhar gaya daman
kisi ne itna kaha jab ki wo hamara nahin
zamin bhanwar ho jahan aasman samundar ho
wahan safar kisi sahil ka istiara nahin
main muKHtalif hun zamane se is liye shayad
kisi KHayal ki gardish mujhe gawara nahin
KHizan ke mausam-e-KHamosh ne sada di hai
jamal-e-dost ne phir bhi mujhe pukara nahin
jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahen na aaina us ko jo para-para nahin
main zaKHm zaKHm sahi phir bhi muskuraya hun
'zafar' ba-nam-e-zafar haar ke bhi haara nahin
(976) Peoples Rate This