Ek Tasawwur To Hai Taswir Nahin
ek tasawwur to hai taswir nahin
KHwab hai KHwab ki tabir nahin
ye rihai ki tamanna kya hai
jab mere panw mein zanjir nahin
subh meri tarah aabaad nahin
sham meri tarah dil-gir nahin
kyun ubhar aaya teri yaad ka chand
jab ujala meri taqdir nahin
sang mein phul khilane walo
fan yahan bais-e-tauqir nahin
baat kahne ka saliqa hai ghazal
shairi husn hai taqrir nahin
dil usi aag mein jalta hai 'zafar'
hae jis aag mein tanwir nahin
(906) Peoples Rate This