Apni Hi Aawaz Ke Qad Ke Barabar Ho Gaya
apni hi aawaz ke qad ke barabar ho gaya
martaba insan ka phir baala-o-bartar ho gaya
dil mein dar aaya to misl-e-gul moattar ho gaya
mere sheron ka sarapa jis ka paikar ho gaya
Dhalte suraj ne diya hai kitni yaadon ko farogh
chand yun ubhra ki har zarra ujagar ho gaya
ab to apne jism ke sae se bhi lagta hai Dar
ghar se bahar bhi nikalna ab to dubhar ho gaya
gunjta mahaul wahshi wahime jangal safar
uf ye kali raat jo mera muqaddar ho gaya
hae wo ek ashk jis ki koi manzil hi nahin
hae wo ek be-zaban jo ghar se be-ghar ho gaya
aap se hum kya kahen shahr-e-nigaran ka mizaj
jo bhi is mahaul mein aaya wo patthar ho gaya
kya huin fikr-o-tasawwur ki tere ranaiyan
hadisa aisa bhi kya 'tanwir' tum par ho gaya
(828) Peoples Rate This