Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai
ye waqt raushni ka muKHtasar hai
abhi suraj tulu-e-muntazar hai
shahadat lafz ki dushwar-tar hai
kitabon mein bahut zer-o-zabar hai
abhi khulne ko hai dar aasman ka
abhi izhaar ka pyasa bashar hai
ye duniya ek lamhe ka tamasha
na jaane dusra lamha kidhar hai
jo dekha hai wo sab kuchh hai hamara
jo an-dekha hai wo ummid bhar hai
main KHud KHashak-e-girwida hun warna
mere hathon mein tinka shah par hai
phir is ke baad bas hairaniyan hain
KHabar wala bhi KHasa be-KHabar hai
mera nara hai jangal aag jaisa
mera kalma shikasta baal-o-par hai
zaban meri siyasat chaTti hai
ki is ka zaiqa shir-o-shakar hai
ye andhi pyas ka mausam hai 'ahmad'
samundar raushni ka be-asar hai
(837) Peoples Rate This