Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai
yahan har lafz mani se juda hai
haqiqat zindagi se mawara hai
abhi chehre ka KHaka ban raha hai
abhi kuchh aur bhi mere siwa hai
hamein jo kuchh mila naqis mila hai
magar KHush-fahmiyon ki intiha hai
koi chehra nahin KHushbu ka lekin
tamasha phul walon ka laga hai
main us ki barishon ka muntazir hun
wo mujh se mere aansu mangta hai
yahi bais hai meri tishnagi ka
samundar mujh se pani mangta hai
jahaalat rog tha jo dil ke andar
wahi mazhab hamara ho gaya hai
muqaddas ho gaya hai jhuT mera
mujhe to ab usi ka aasra hai
main pyasa hun purane mausamon ka
magar ab wo zamana ja chuka hai
kahani barg-e-sozan se ibarat
wagarna bahr-o-bar bhi hashiya hai
nahin hai KHwab si taswir jis ki
to phir us KHwab ki tabir kya hai
guman hangama-arai ka aadi
yaqin tanhaiyon mein bolta hai
ye duniya be-KHabar logon ki 'ahmad'
wo duniya ka nahin jo jaanta hai
(797) Peoples Rate This