Tasawwur Ko Jaga Rakkha Hai Usne
tasawwur ko jaga rakkha hai us ne
daricha nim wa rakkha hai us ne
zara sa phul mere bagh mein hai
bahut kuchh mawara rakkha hai us ne
bina dekhe gawahi mangta hai
sawal apna juda rakkha hai us ne
mere hone se KHud mera talluq
ba-rang-e-intiha rakkha hai us ne
miTa deta hai har taswir meri
mujhe apna bana rakkha hai us ne
hamari pyas qatron mein likhi hai
magar dariya baha rakkha hai us ne
ye suraj chand taron ka zamana
bas ek lamha jala rakkha hai us ne
banawaT barmala phulon ki surat
ki KHushbu ko chhupa rakkha hai us ne
khaDi hai rah roke KHud-farebi
mujhe wapas bula rakkha hai us ne
hawa ka hai na pani ka karishma
nafas ko KHud jala rakkha hai us ne
mujhe be-nam kar deta hai 'ahmad'
ki nam apna KHuda rakkha hai us ne
(786) Peoples Rate This