Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho
mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho
mata-e-jaan ko badan se nikal kar dekho
badal ke dekho kabhi nisbaton ki duniya ko
badan ko ruh ke KHane mein Dal kar dekho
suno use to samaat se mawara ho kar
jo dekhna ho to aankhen nikal kar dekho
yaqin dasht se phuTega aab-e-ju ki tarah
ki harf-e-la ki gawahi bahaal kar dekho
nafas nafas hai yahan maqbara aqidat ka
ye maqbaron ka jahan paemal kar dekho
isi hawa mein mohabbat ka dip jalta hai
isi jahan ko jahan-e-visal kar dekho
wo sang de to hararat nichoD lo apni
jo phul de to nigah-e-kamal kar dekho
phir us ke baad koi Dar nahin talatum ka
us ek bund ke gham ko wishaal kar dekho
badan ki pyas bhi ek mawara kahani hai
har ek bund ko dariya KHayal kar dekho
palaT ke aaenge sawan ke rang aaankhon mein
tum apne-ap se rishta bahaal kar dekho
wo bolta hai pahaDon ki oT se aksar
kisi pahaD se us ka sawal kar dekho
ye raaz aur kahan tak hamein nibhana hai
kabhi to raat mein suraj nikal kar dekho
tum apne gauhar-e-yakta ko is tarah DhunDo
ki KHud ko be-sar-o-saman KHayal kar dekho
jo dekhna ho kabhi doston ka dil 'ahmad'
khare usul ka patta uchhaal kar dekho
(887) Peoples Rate This