Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta
meri raaton ka safar tur nahin ho sakta
tu na chahe to bayan nur nahin ho sakta
main ne hijrat ke kai daur kaDe dekhe hain
main kitabon se kabhi dur nahin ho sakta
meri fitrat ki main khil jata hun be-mausam bhi
meri aadat ki main majbur nahin ho sakta
tu ne kis shauq se likkha hai taaruf mera
main kisi lafz mein mahsur nahin ho sakta
mere andar bhi tere nam ki chingari hai
tu mere waste kyun tur nahin ho sakta
jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rahta hai
bastiyon mein kabhi mashhur nahin ho sakta
zinda insan use aabaad kiya karte hain
ghar kisi KHwab se mamur nahin ho sakta
ghar ke bahar sabhi lafzon ke tamashai hain
ghar ke andar koi masrur nahin ho sakta
jism ke sare taqaze hain adhure 'ahmad'
ye tasawwur kabhi bharpur nahin ho sakta
(676) Peoples Rate This