Lamha Lamha Roz O Shab Ko Der Hoti Jaegi
lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi
ye safar aisa hai sab ko der hoti jaegi
sabz lamhon ko ugane ka hunar bhi sikhna
warna is rang-e-talab ko der hoti jaegi
is hawa mein aadmi patthar ka hota jaega
aur rone ke sabab ko der hoti jaegi
dekhna tera hawala kuchh se kuchh ho jaega
dekhna sher o adab ko der hoti jaegi
rafta rafta jism ki parten utarti jaengi
kaghzi nam o nasab ko der hoti jaegi
aam ho jaega kaghaz ke gulabon ka chalan
aur KHushbu ke sabab ko der hoti jaegi
sara manzar hi badal jaega 'ahmad' dekhna
mausam-e-ruKHsar-o-lab ko der hoti jaegi
(768) Peoples Rate This