Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun
imroz ki kashti ko Dubone ke liye hun
kal aur kisi rang mein hone ke liye hun
tu bhi hai faqat apni shahadat ka talabgar
main bhi to isi dard mein rone ke liye hun
jine ka taqaza mujhe marne nahin deta
mar kar bhi samajhta hun ki hone ke liye hun
hathon mein mere chand bhi lagta hai khilauna
KHwabon mein falak rang samone ke liye hun
har bar ye shishe ka badan TuT gaya hai
har bar nae ek khilaune ke liye hun
pardes ki raaton mein bahut jag chuka main
ab ghar ka sukun oDh ke sone ke liye hun
sine mein koi zaKHm ki khulne ke liye hai
aaankhon mein koi ashk ki rone ke liye hun
sada si koi baat nahin bhuk shikam ki
iman bhi roTi mein samone ke liye hun
wo dasht-o-bayaban mein izhaar ka KHwahan
main apne chaman-zar mein rone ke liye hun
ghaaron ka safar hai ki mukammal nahin hota
main apni KHabar aap hi Dhone ke liye hun
suraj ko nikalne mein zara der hai 'ahmad'
phir zat ka har rang main khone ke liye hun
(799) Peoples Rate This