Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho
hai wahimon ka tamasha yahan wahan dekho
hamare pas mukammal KHuda kahan dekho
dil-o-dimagh ke andar ana ki gunj suno
bala si koi lahu mein rawan-dawan dekho
nafas ka sanp kahan zer hone wala hai
phir is ke baad koi aur imtihan dekho
ab apne ghar ke liye ek nai zamin socho
zamin ke sar pe koi taza aasman dekho
is ek sawal ke kitne azab jhel chuka
kuchh aur dard banu aur imtihan dekho
guzar ke jaana hai wahshat ke ek dariya se
yaqin na ho to yahan rasta kahan dekho
kahan se aaegi ab raushni mohabbat ki
bahut dhuan hai makanon ke darmiyan dekho
main be-yaqin hun aisa ki mere hathon mein
tamam aayaten suraj ki raegan dekho
phaTa hua kisi uryan sawal jaisa hai
hamare sar pe ye rahmat ka saeban dekho
nishan ret ke aae hain mere hisse mein
nikal gaya hai bahut dur karwan dekho
masih maut ka paigham le ke aaya hai
ab aur kaun bachaega meri jaan dekho
mere huruf adhuri uDan jaise hain
mera shuur maani ka aasman dekho
wo ek lamha hayat-ashna likho 'ahmad'
wagarna sari kahani hi raegan dekho
(917) Peoples Rate This