Yaadon Ki Tajsim Pe Mehnat Hoti Hai

yaadon ki tajsim pe mehnat hoti hai

bekari bharpur mashaqqat hoti hai

aisa KHali aur itna gunjaan aabaad

aaine ko dekh ke hairat hoti hai

diwaron ka apna sahra hota hai

aur kamron ki apni wahshat hoti hai

us ko yaad karo shiddat se yaad karo

is se tanhai mein barkat hoti hai

bachpan jauban aur buDhapa aur phir maut

sab chalte rahne ki aadat hoti hai

jina to bas lafz hai ek be-mani lafz

maut se pahle maut ki fursat hoti hai

aisi aazadi ab aur kahan hogi

ishq mein sab karne ki ijazat hoti hai

aansu moti jugnu tara suraj chand

har qatre ki apni qismat hoti hai

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ki Tajsim Pe Mehnat Hoti Hai In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Yaadon Ki Tajsim Pe Mehnat Hoti Hai is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Yaadon Ki Tajsim Pe Mehnat Hoti Hai for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Yaadon Ki Tajsim Pe Mehnat Hoti Hai in PDF.