Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9c5619e8cc6c7e9cfe76978af3f92585, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein - Ahmad Shahryar Poetry In English - Darsaal

Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein

phail raha hai ye jo KHali hone ka Dar mujh mein

aaKHir-kar simaT aaega mera bahar mujh mein

ro dunga to ashk nahin aankhon se ret bahegi

KHun kahan kuchh sukhe dariya hain sahra bhar mujh mein

pahron jalta rahta hun main jaise koi suraj

ek kiran jab ruk jati hai tujh se chhan kar mujh mein

tu maujud hai main madum hun is ka matlab ye hai

tujh mein jo napaid hai pyare wo hai mayassar mujh mein

qatra Thik hai dariya hone mein nuqsan bahut hai

dekh to kaise Dub raha hai mera lashkar mujh mein

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Phail Raha Hai Ye Jo Khaali Hone Ka Dar Mujh Mein in PDF.