Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6787ab22f5d2a18030e11a18b4c70b6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega - Ahmad Shahryar Poetry In English - Darsaal

Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega

ghubar-e-waqt ke gar aar-par dekhiyega

to ek pal mein mera shahsawar dekhiyega

main ek bar use pherunga apni gardan par

aur aap bas mere KHanjar ki dhaar dekhiyega

kisi ka naqsh nahin bandhiyega aankhon mein

jise bhi dekhiye aaina-war dekhiyega

kabhi na lauT ke aaenge aap jaanta hun

par aaiye to mera intizar dekhiyega

na dastaken na sada kaun dar pe aaya hai

faqir-e-shahr hai ya shahryar dekhiyega

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Ghubar-e-waqt Ke Gar Aar-par Dekhiyega in PDF.