Saghar Kyun Khaali Hai Mera Ai Saqi Tere MaiKHane Mein
saghar kyun KHali hai mera ai saqi tere maiKHane mein
phir Dal de ulfat ki nazren ek bar mere paimane mein
wo ishq nahin hai bul-hawasi jo wasl ki chahat karta hai
baqi hai farasat ab tak bhi itni to tere diwane mein
duniya ki inayat hai utni har gam bichhati hai kanTe
hum rang-e-hina kaise bharte is ulfat ke afsane mein
kyun KHak mein meri wasf nahin jis se mah-o-anjum sharmaen
har aan ulajhta jata hun is gutthi ko suljhane mein
phir raaz-e-KHudi eazaz-KHudi parwaz-e-KHudi us se puchhen
'iqbaal' sa koi farzana mil jae agar anjaane mein
(872) Peoples Rate This