Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6af354eb531d6224e702d7eda827d2bd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki - Ahmad Shahid Khan Poetry In English - Darsaal

Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki

junun ki rasm zamane mein aam ho na saki

hawas thi chah wafa ki ghulam ho na saki

likhe the dar-o-rasan jis kisi ki qismat mein

phir us ki zulf ke sae mein sham ho na saki

meri udasi ka bais shab-e-firaq nahin

basar ye raat ba-sad-ehtimam ho na saki

meri nigah uThi hi rahi su-e-jaanan

tajalliyon mein ghiri ham-kalam ho na saki

rawa jahan ko ki majnun ko sangsar kare

qaba-e-zist junun ki niyam ho na saki

KHirad ki baat bhi sunte kahan mili fursat

junun ki baat lahad tak tamam ho na saki

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki In English By Famous Poet Ahmad Shahid Khan. Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki is written by Ahmad Shahid Khan. Read famous Poem Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki for youth and Student by Ahmad Shahid Khan. Free Download Junun Ki Rasm Zamane Mein Aam Ho Na Saki in PDF.