Kali Raat Ke Sahraon Mein Nur-sipara Likkha Tha

kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha

jis ne shahr ki diwaron par pahla nara likkha tha

lash ke nanhe hath mein basta aur ek khaTTi goli thi

KHun mein Dubi ek taKHti par ghain-ghubara likkha tha

aaKHir hum hi mujrim Thahre jaane kin kin jurmon ke

fard-e-amal thi jaane kis ki nam hamara likkha tha

sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha

man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha

(2024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kali Raat Ke Sahraon Mein Nur-sipara Likkha Tha In English By Famous Poet Ahmad Salman. Kali Raat Ke Sahraon Mein Nur-sipara Likkha Tha is written by Ahmad Salman. Read famous Poem Kali Raat Ke Sahraon Mein Nur-sipara Likkha Tha for youth and Student by Ahmad Salman. Free Download Kali Raat Ke Sahraon Mein Nur-sipara Likkha Tha in PDF.