Jis Jagah Aagahi Muqayyad Hai

jis jagah aagahi muqayyad hai

us jagah zindagi muqayyad hai

bujh rahe hain gulab se chehre

kya yahan tazgi muqayyad hai

chand jis ka tawaf karta tha

ab wahan KHak si muqayyad hai

ek arzi liye main hazir hun

munsifa raushni muqayyad hai

KHak-e-karbal mein aaj bhi logo

ek ajab tishnagi muqayyad hai

kachche ghar ke nasib mein 'babar'

ja-ba-ja KHastagi muqayyad hai

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Jagah Aagahi Muqayyad Hai In English By Famous Poet Ahmad Sajjad Babar. Jis Jagah Aagahi Muqayyad Hai is written by Ahmad Sajjad Babar. Read famous Poem Jis Jagah Aagahi Muqayyad Hai for youth and Student by Ahmad Sajjad Babar. Free Download Jis Jagah Aagahi Muqayyad Hai in PDF.