Bujhti Hui Aankhon Ka Akela Wo Diya Tha
bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha
hijran ki kaDi shab mein aziyyat se laDa tha
rukta hi nahin tujh pe nigahon ka tasalsul
kal sham tere hath mein kangan bhi naya tha
ek chashm-e-tawajjoh se udhaDta hi gaya tha
wo zaKHm ki jis ko baDi mehnat se siya tha
bargad ke isi peD pe utrenge parinde
sailab-zada ghar ke jo aangan mein khaDa tha
darwesh ki kuTiya ke ye lashe pe bani hai
viran shikasta si haweli pe likha tha
taswir mein us ko hi sar-e-baam dikhaya
mazdur zamane ke jo panw mein paDa tha
wo zaKHm judai ka bhala kaise dikhega
malba jo mere jism ka andar ko gira tha
'babar' ho ki bahka hua jhonka ya sitara
teri hi gali mein hamein jata wo mila tha
(970) Peoples Rate This