Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e50d35eca4eb70b6fce0c9427e96d075, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai - Ahmad Sagheer Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai

aur si dhup ghaTa aur si rakkhi hui hai

hum ne is ghar ki faza aur si rakkhi hui hai

kuchh maraz aur sa hum ne bhi lagaya hua hai

aur us ne bhi dawa aur si rakkhi hui hai

is qadar shor mein bas ek hamin hain KHamosh

hum ne honTon pe sada aur si rakkhi hui hai

wo dua aur hai jo mang rahe hain ki abhi

dil mein ek aur dua aur si rakkhi hui hai

qissa apna bhi purana hai siwae is ke

bas zara tarz-e-ada aur si rakkhi hui hai

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai In English By Famous Poet Ahmad Sagheer Siddiqui. Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai is written by Ahmad Sagheer Siddiqui. Read famous Poem Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai for youth and Student by Ahmad Sagheer Siddiqui. Free Download Aur Si Dhup GhaTa Aur Si Rakkhi Hui Hai in PDF.