Aankhen Banata Dasht Ki Wusat Ko Dekhta
aankhen banata dasht ki wusat ko dekhta
hairat banane wale ki hairat ko dekhta
hota na koi kar-e-zamana mere supurd
bas apne karobar-e-mohabbat ko dekhta
kar ke nagar nagar ka safar is zamin par
logon ki bud-o-bash o riwayat ko dekhta
aata agar KHayal shajar chhanw mein nahin
ghar se nikal ke dhup ki hiddat ko dekhta
yun lag raha tha main koi sahra ka peD hun
us sham to agar meri haalat ko dekhta
'ahmad' wo izn-e-did jo deta to ek sham
KHud par guzarne wali aziyyat ko dekhta
(949) Peoples Rate This