Kya Kya Mohabbaton Ke Zamane Badal Gae
kya kya mohabbaton ke zamane badal gae
ab tum kabhi mile ho to aansu nikal gae
fart-e-gham-e-hawadis-e-dauran ke bawajud
jab bhi tere dayar se guzre machal gae
main nukta-chin nahin hun magar ye bataiye
wo kaun the jo hans ke gulon ko masal gae
kuchh dast-e-gul-farosh mein sanwla ke rah gae
kuchh baghban ki barq-nawazi se jal gae
tum ne hamein fareb-e-qayaadat diya to hai
lekin kabhi hua hai ki tufan Tal gae
ek wo bhi the jo bah gae maujon ke sath sath
ek hum bhi hain jo kha ke thapeDe sambhal gae
(934) Peoples Rate This