Ba-wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte

ba-wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte

farogh-e-qamat-o-ruKH ki sana nahin karte

shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain

hum intiha-e-sitam ka gila nahin karte

kuchh is tarah se luTi hai mata-e-dida-o-dil

ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte

isi liye hain sazawar-e-jaur-e-barq-e-sitam

ki haqq-e-KHidmat-e-gulchin ada nahin karte

mazaq-e-kohkani ho ki dasht-paimai

jinhen tumhaari talab ho wo kya nahin karte

wo aashna-e-gham-e-kainat kya honge

jo KHud ko aap ka dard-ashna nahin karte

gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauran

kisi maqam pe hum ji bura nahin karte

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte In English By Famous Poet Ahmad Riyaz. Ba-wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte is written by Ahmad Riyaz. Read famous Poem Ba-wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte for youth and Student by Ahmad Riyaz. Free Download Ba-wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte in PDF.