Ba Wasf-e-shauq Bhi Dil Ka Kaha Nahin Karte
ba wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte
farogh-e-qamat-o-ruKH ki sana nahin karte
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
hum intiha-e-sitam ka gila nahin karte
kuchh is tarah se luTi hai mata-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte
isi liye hain saza-war jaur-e-barq-e-sitam
ki haqq-e-KHidmat-e-gulchin ada nahin karte
mazaq-e-kohkani ho ki dasht-paimai
jinhen tumhaari talab ho wo kya nahin karte
wo aashna-e-gham-e-kainat kya honge
jo KHud ko aap ka dard-ashna nahin karte
gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauran
kisi maqam pe hum ji bura nahin karte
(766) Peoples Rate This