Waqt Ki Baat

waqt hairan nigahon se mujhe dekhta hai

dekh kar haal ko shayad use mazi ka KHayal aata hai

waqt jab bhi kisi zartab o hasin mazi ke gahnae hue

haal se do-chaar hua kanp uTha

us ko malum nahin hai mazi

kis tarah haal ke sanche mein bigaD jata hai

tu magar jaanti hai

talKHi-e-zist damakte hue shadab o jawan chehron ko

kaise afsurda-o-pazhmurda bana deti hai

kisi tarah sham-e-KHizan subh-e-bahaaran bikhar jati hai

tu mujhe dekh kar hairan na ho

main wahi hun tu jise hasil-e-ummid kaha karti thi

main wahi hun tu jise pahle-pahal dekh ke chaunk uTThi thi

aur ab dekh ke ye haal mere mazi ka hairan hai tu

dekh hairan na ho

waqt hairani pe majbur hai malum nahin hai is ko

mazi kyun haal ke sanche mein bigaD jata hai

aur tu waqt nahin

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Baat In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Waqt Ki Baat is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Waqt Ki Baat for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Waqt Ki Baat in PDF.