Sargoshi
har ek sans mein sargoshiyan hain nauhon ki
kisi bhi lab pe koi jaan-faza tarana nahin
simaT simaT gai angDaiyon ki pahnai
hikayat-e-gham-e-dauran koi fasana nahin
jo zulm hum pe hua hai ab us ka zikr hi kya
yahan pe hum hi sitam-KHurda-e-zamana nahin
shikast-e-saz-e-mohabbat se sozish-e-gham se
har ek aariz-e-gulgun se shabnam-aluda
maal-e-ahd-e-wafa hai firaq-e-dida-o-dil
naqib-e-daur-e-guzishta hai daur-e-maujuda
(841) Peoples Rate This