Sarab
main jahan tha
wahan tirgi thi KHamoshi thi afsurdagi thi
mere kan naghmon se mahrum the
siskiyan mere honTon ki miras thin
meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir thin
meri zindagi rakh ka Dher thi
main yahan aa gaya
is tarah KHuld mein
us musalsal aziyyat se kahish se bachne ki KHatir
ki jis se faqat ek main hi nahin
mere jaise kai aur bhi jaan-ba-lab the
tera KHuld mere liye
mere jaise kai dusron ke liye
raushni naghmagi sarKHushi ki alamat tha ye!
main jahan hun
wahan tirgi hai KHamoshi hai afsurdagi hai
mere kan naghmon se mahrum hain
siskiyan mere kanon ki miras hain
meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir hain
meri zindagi rakh ka Dher hai!
(778) Peoples Rate This