Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da62ec8ace198ea371de3344ffc4d3e6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kal Aur Aaj - Ahmad Rahi Poetry In English - Darsaal

Kal Aur Aaj

kal jis jagah ye chhanw ghani thi

jahan pe tum ne mujh se wada

liya tha dobara milne ka

main us jagah pe aaya tha

magar wahan dhup kaDi thi

tum to na thin lekin

tum se milti-julti

jhurriyan jhurriyan chehre wali

koi aurat

kabhi jo KHud bhi

kisi se milne

isi jagah par aai hogi

qahr-alud nigahon se mujhe ghur rahi thi

main lauT aaya

tere aur mere jazbon ke

bich mein ek fasil khaDi thi

aur upar se dhup kaDi thi!

(1029) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kal Aur Aaj In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Kal Aur Aaj is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Kal Aur Aaj for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Kal Aur Aaj in PDF.