Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae
ye dastan-e-gham-e-dil kahan kahi jae
yahan to khul ke koi baat bhi na ki jae
tumhaare hath sahi faisla magar phir bhi
zara asir ki rudad to suni jae
ye raat din ka taDapna bhi kya qayamat hai
jo tum nahin to tumhaara KHayal bhi jae
ab is se baDh ke bhala aur kya sitam hoga
zaban khul na sake aankh dekhti jae
ye chaak chaak gareban nahin hai diwane
jise bas ek chhalakti nazar hi si jae
koi sabil ki ye sehr-e-jaan-gusil TuTe
koi ilaj ki ye daur-e-bebasi jae
(969) Peoples Rate This