Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd2d3e15462b351d9e44a1d4efa07c07, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya - Ahmad Rahi Poetry In English - Darsaal

Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya

wo be-niyaz mujhe uljhanon mein Dal gaya

ki jis ke pyar mein ehsas-e-mah-o-sal gaya

har ek baat ke yun to diye jawab us ne

jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya

kai sawal the jo main ne soch rakkhe the

wo aa gaya to mujhe bhul har sawal gaya

jo umr jazbon ka sailab ban ke aai thi

guzar gai to laga daur-e-e'tidal gaya

wo ek zat jo KHwab-o-KHayal lai thi

isi ke sath har ek KHwab har KHayal gaya

use to is ka koi ranj bhi na ho shayad

ki us ki bazm se koi shikasta-haal gaya

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Wo Be-niyaz Mujhe Uljhanon Mein Dal Gaya in PDF.