Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai
tawil raaton ki KHamushi mein meri fughan thak ke so gai hai
tumhaari aankhon ne jo kahi thi wo dastan thak ke so gai hai
gila nahin tujh se zindagi ke wo zawiye hi badal chuke hain
meri wafa wo tere taghaful ki nauha-KHwan thak ke so gai hai
mere KHayalon mein aaj bhi KHwab ahd-e-rafta ke jagte hain
tumhaare pahlu mein kahish-e-yaad-e-astan thak ke so gai hai
sahar ki ummid ab kise hai sahar ki ummid ho bhi kaise
ki zist ummid o na-ummidi ke darmiyan thak ke so gai hai
na jaane main kis udheD-bun mein ulajh gaya hun ki mujh ko 'rahi'
KHabar nahin kuchh wo aarzu-e-sukun kahan thak ke so gai hai
(821) Peoples Rate This