Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai

tawil raaton ki KHamushi mein meri fughan thak ke so gai hai

tumhaari aankhon ne jo kahi thi wo dastan thak ke so gai hai

mere KHayalon mein aaj bhi KHwab ahd-e-rafta ke jagte hain

tumhaare pahlu mein kahish-e-yaad-e-pastan thak ke so gai hai

gila nahin tujh se zindagi ke wo nazariye hi badal gae hain

meri wafa wo tere taghaful ki nauha-KHwan thak ke so gai hai

sahar ki ummid ab kise hai sahar ki ummid ho bhi kaise

ki zist ummid-o-na-umidi ke darmiyan thak ke so gai hai

na jaane main kis udheD-bun mein ulajh gaya hun ki mujh ko 'rahi'

KHabar nahin kuchh wo aarzu-e-sukun kahan thak ke so gai hai

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Tawil Raaton Ki KHamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai in PDF.