Tanhaiyon Ke Dasht Mein Akasr Mila Mujhe
tanhaiyon ke dasht mein akasr mila mujhe
wo shaKHs jis ne kar diya mujh se juda mujhe
waraftagi meri hai ki hai intiha-e-shauq
us ki gali ko le gaya har rasta mujhe
jaise ho koi chehra naya us ke ru-ba-ru
yun dekhta raha mera har aashna mujhe
harf-e-ghalat samajh ke jo mujh ko miTa gaya
us jaisa us ke baad na koi laga mujhe
pahle hi mujh pe kam nahin teri inayaten
dam lene de ai gardish-e-dauran zara mujhe
mushkil mujhe Dubna kinare pe bhi na tha
nahaq bhanwar mein laya mera naKHuda mujhe
ye zindagi ki maut bhi hai jis pe nauha-KHwan
kis jurm ki na jaane mili hai saza mujhe
(915) Peoples Rate This