Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte
qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram nahin karte
zamana-saz to karte hain hum nahin karte
tumhaari zulf ko suljhaenge wo diwane
jo apne chaak-e-gareban ka gham nahin karte
utar chuka hai rag-o-pai mein zahr-e-gham phir bhi
ba-pas-ahd-e-wafa chashm nam nahin karte
ye apna dil hai ki is haal mein bhi zinda hain
sitam kuchh ahl-e-sitam hum pe kam nahin karte
girafta-dil hain butan-e-haram ki ab shair
nashat-o-aish ke saman baham nahin karte
suna rahe hain jahan ko hadis-e-dar-o-rasan
hikayat-e-qad-o-gesu raqam nahin karte
wo aastan-e-shahi ho ki aastana-e-dost
ye ab kahin sar-e-taslim KHam nahin karte
(931) Peoples Rate This