Qad O Gesu Lab-o-ruKHsar Ke Afsane Chale
qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale
aaj mahfil mein tere nam pe paimane chale
abhi tu ne dil-e-shorida ko dekha kya hai
mauj mein aae to tufanon se Takrane chale
dekhen ab rahta hai kis kis ka gareban sabit
chaak-e-dil le ke teri bazm se diwane chale
phir kisi jashn-e-charaghan ka guman hai shayad
aaj har samt se pur-soKHta parwane chale
ye masihai bhi ek turfa-tamasha hai ki jab
dam ulaT jae to wo zaKHmon ko sahlane chale
jis ne uljhaya hai kitne hi dilon ko yaro
hum bhi us zulf-e-girah-gir ko suljhane chale
(864) Peoples Rate This