Koi Mazi Ke Jharokon Se Sada Deta Hai

koi mazi ke jharokon se sada deta hai

sard paDte hue shoalon ko hawa deta hai

dil-e-afsurda ka har gosha chhanak uThta hai

zehn jab yaadon ki zanjir hila deta hai

haal-e-dil kitna hi insan chhupae yaro

haal-e-dil us ka to chehra hi bata deta hai

kisi bichhDe hue khoe hue hamdam ka KHayal

kitne soe hue jazbon ko jaga deta hai

ek lamha bhi guzar sakta na ho jis ke baghair

koi us shaKHs ko kis tarah bhula deta hai

waqt ke sath guzar jata hai har ek sadma

waqt har zaKHm ko har gham ko miTa deta hai

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Mazi Ke Jharokon Se Sada Deta Hai In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Koi Mazi Ke Jharokon Se Sada Deta Hai is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Koi Mazi Ke Jharokon Se Sada Deta Hai for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Koi Mazi Ke Jharokon Se Sada Deta Hai in PDF.