Koi Hasrat Bhi Nahin Koi Tamanna Bhi Nahin
koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin
dil wo aansu jo kisi aankh se chhalka bhi nahin
ruTh kar baiTh gai himmat-e-dushwar-pasand
rah mein ab koi jalta hua sahra bhi nahin
aage kuchh log hamein dekh ke hans dete the
ab ye aalam hai koi dekhne wala bhi nahin
dard wo aag ki bujhti nahin jalti bhi nahin
yaad wo zaKHm ki bharta nahin rista bhi nahin
baadban khol ke baiThe hain safinon wale
par utarne ke liye halka sa jhonka bhi nahin
(947) Peoples Rate This