Kabhi Teri Kabhi Apni Hayat Ka Gham Hai
kabhi teri kabhi apni hayat ka gham hai
har ek rang mein nakaamiyon ka matam hai
KHayal tha tere pahlu mein kuchh sukun hoga
magar yahan bhi wahi iztirab paiham hai
mere mazaq-e-alam-ashna ka kya hoga
teri nigah mein shoale hain ab na shabnam hai
sahar se rishta-e-ummid bandhne wale
charagh-e-zist ki lau sham hi se maddham hai
ye kis maqam pe le aai zindagi 'rahi'
ki har qadam pe ajab bebasi ka aalam hai
(874) Peoples Rate This