Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham Hai

kabhi hayat ka gham hai kabhi tera gham hai

har ek rang mein nakaamiyon ka matam hai

KHayal tha tere pahlu mein kuchh sukun hoga

magar yahan bhi wahi iztirab paiham hai

mere habib meri muskurahaTon pe na ja

KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai

sahar se rishta-e-ummid bandhne wale

charagh-e-zist ki lau sham hi se maddham hai

ye kis maqam pe le aai zindagi 'rahi'

qadam qadam pe jahan bebasi ka aalam hai

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham Hai In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham Hai is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham Hai for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham Hai in PDF.