Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai
gham-e-hayat mein koi kami nahin aai
nazar-fareb thi teri jamal-arai
wo dastan jo teri dilkashi ne chheDi thi
hazar bar meri sadgi ne dohrai
fasane aam sahi meri chashm-e-hairan ke
tamasha bante rahe hain yahan tamashai
teri wafa teri majburiyan baja lekin
ye sozish-e-gham-e-hijran ye sard tanhai
kisi ke husn-e-tamanna ka pas hai warna
mujhe KHayal-e-jahan hai na KHauf-e-ruswai
main sochta hun zamane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai
kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai
(1117) Peoples Rate This