Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko
din ko rahte jhil par dariya kinare raat ko
yaad rakhna chand taro is hamari baat ko
ab kahan wo mahfilen hain ab kahan wo ham-nashin
ab kahan se laen un guzre hue lamhat ko
paD chuki hain utni girhen kuchh samajh aata nahin
kaise suljhaen bhala uljhe hue haalat ko
kitni tufani thin raaten jin mein do diwane dil
thapkiyan dete rahe bhaDke hue jazbaat ko
dard mein Dubi hui lai ban gai hai zindagi
bhul jate kash hum ulfat-bhare naghmat ko
wo ki apne pyar ki thi bhigi bhigi ibtida
yaad kar ke ro diya dil aaj us barsat ko
(1489) Peoples Rate This