Dil Ke Viran Raste Bhi Dekh

dil ke viran raste bhi dekh

aankh ki mar se pare bhi dekh

chaar su gunjte hain sannaTe

kabhi sunsan maqbare bhi dekh

kanpti hain lawen charaghon ki

raushni ko qarib se bhi dekh

sozish-e-furqat-e-musalsal se

aanch dete hain qahqahe bhi dekh

band honTon ki naghmagi bhi sun

soti aankhon ke ratjage bhi dekh

dekhna ho agar kamal apna

aaina dekh kar mujhe bhi dekh

(1877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Viran Raste Bhi Dekh In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Dil Ke Viran Raste Bhi Dekh is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Dil Ke Viran Raste Bhi Dekh for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Dil Ke Viran Raste Bhi Dekh in PDF.