Mujhe Talash Karo
shajar se TuT ke jab main gira kahan pe gira
mujhe talash karo
jin aandhiyon ne meri sar-zamin udheDi thi
wo aaj maulid-e-isa mein gard uDati hain
jo ho sake to unhi se mera pata puchho
mujhe talash karo
chali jo mashriq-o-maghrib se tund-o-tez hawa
mere shajar ne mujhe pyar se sameT liya
mujhe lapeT liya apni kitni bahon mein
ye be-lihaz anasir magar ba-zid hi rahe
main barg-e-sabz gira barg-e-zard ki manind
usi sulagti hui rakh si patawar mein
jo bichh rahi hai ufuq se ufuq ke par talak
mujhe talash karo
shajar se kaT ke zaban kaT gai na ho meri
main chiKHta hun magar harf-e-na-shunida hun
hayat-e-taza hai meri shajar se mera milap
ki bas wahi meri baalidgi ka mamba hai
jo regzar mein chhitnar dekhne hain tumhein
mujhe talash karo
falak ke raaz to khulte rahenge ham-nafaso
mere wajud ka bhi ab to raaz fash karo
mujhe talash karo
(2071) Peoples Rate This