Waqt
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
chand billor ki TuTi hui chuDi ki tarah aTka hai
daman-e-koh ki ek basti mein
TimTimate hain mazaron pe charagh
aasman surmai farghul mein sitare Tanke
simTa jata hai jhuka aata hai
waqt be-zar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
subh ki nuqrai tanwir rachi jati hai
daman-e-koh mein bikhre hue khet
lahlahate hain to dharti ke tanaffus ki sada aati hai
aasman kitni bulandi pe hai aur kitna azim
nae suraj ki shuaon ka musaffa aangan
waqt bedar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
aaftab ek alao ki tarah raushan hai
daman-e-koh mein chalte hue hal
sina-e-dahr pe insan ke jabrut ki tariKH raqam karte hain
aasman tez shuaon se hai is darja gudaz
jaise chhune se pighal jaega
waqt tayyar nazar aata hai
sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein
zindagi kitne haqaeq ko janam deti hai
daman-e-koh mein phaile hue maidanon par
zauq-e-taKHliq ne ejaz dikhae hain lahu ugla hai
aasman gardish-e-ayyam ke rele se hirasan to nahin
KHair-maqdam ke bhi andaz hua karte hain
waqt ki rah mein moD aate hain manzil to nahin aa sakti
(1278) Peoples Rate This