Safar Aur Ham-safar
jangal jangal aag lagi hai basti basti viran hai
kheti kheti rakh uDti hai duniya hai ki bayaban hai
sannaTe ki haibat ne sanson mein pukaren bhar di hain
zehnon mein mabhut KHayalon ne talwaren bhar di hain
qadam qadam par jhulse jhulse KHwab paDe hain rahon mein
subh ko jaise kale kale diye ibaadat-gahon mein
ek ek sang-e-mil mein kitni aankhen hain pathrai hui
ek ek naqsh-e-qadam mein kitni raftaren kafnai hui
ham-safro ai ham-safro kuchh aur bhi nazdik aa ke chalo
jab chalna hi muqaddar Thahra hath mein hath mila ke chalo
(979) Peoples Rate This