Ruh Labon Tak Aa Kar Soche
ruh labon tak aa kar soche kaise chhoDun qarya-e-jaan
yusuf qasr-e-shahi mein bhi kab bhula kanan ki galiyan
maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai
kahish-e-dil bhi KHwahish-e-dil hai aafat-e-jaan bhi rahat-e-jaan
meri wahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair
yun to adam mein wusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan
ghunche ab tak rang bhare hain ab tak honT umang-bhare
TuTi-phuTi qabron se hain pathrai aankhen nigaran
sirf ek nigah-e-garm se TuTen shoalon mein parwan chaDhen
hae ye nazuk nazuk rishte hae ye bazm-e-shish-garan
dasht-o-daman mein koh kamar mein bikhre hue hain phul hi phul
ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mere boson ke nishan
aankh ki ek jhapki mein bita kitne baras ka qurb-e-jamal
ishq ke ek pal mein guzre hain kitne qaran kitni sadiyan
sari duniya mera kaba sab insan mere mahbub
dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan
dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat
kis ko KHabar thi mahw rahegi qat-e-safar mein umr-e-rawan
jannat ki yaKH-bastagyon ko garmaega us ka KHayal
subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan
(1155) Peoples Rate This