Restaurant
restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre
qabron ke katbon par jaise masle masle sehre
ek sahib jo soch rahe hain pichhle ek pahar se
yun lagte hain jaise bachcha ruTh aaya ho ghar se
kafi ki pyali ko labon tak laen to kaise laen
baire tak se aankh mila kar baat jo na kar paen
kitni sanjida baiThi hai ye ahbab ki Toli
kitne auj-e-balaghat par hai KHamoshi ki boli
sari quwwat chus chuki din bhar ki shahr-nawardi
mathon mein se jhank rahi hai marti dhup ki zardi
lambi lambi palken jhapke ek sharmili bi-bi
baalon ki tartib se jhalke zehn ki be-tartibi
shauhar ko dekhe to lajae laj ko oT banae
har aane wale par ek bharpur nazar dauDaye
ek laDki aur tin jawan aae hain kase-kasae
sanwle rup ko gore mulkon ka bahrup banae
baaton mein naKHwat baghon ki wahshat sahraon ki
aankhon ke chulhon mein bhari hai rakh tamannaon ki
apni apni uljhan sab ki apni apni rae
sab ne aansu rok rakhe hain kaun kise bahlae
har shai par shak ho to jina ek saza ban jae
mehwar hi maujud na ho to gardish kis kaam aae
qahqahe jaise KHali bartan luDhak luDhak kar TuTen
bahsen jaise honTon mein se KHun ke chhinTe chhuTen
husn ka zikr karen yun jaise aandhi phul khilae
fan ki baat karen yun jaise baniya sher sunae
sukDi simTi ruhen lekin jism hain dohre tihre
restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre
(902) Peoples Rate This